Smart Loan EMI Calculator

Qarz ki Mahaana Qist Maloom krnay ka Calculator

User Guide:

Ye calculator aapko aap ke qarzy (loan) ki mahaana qist aur sood ki mukammal tafseel jaan-ne mein madad deta hai.
Isay istemal krnay ka tariqa darj-zail hai:

1. Loan Amount (Asal Raqam)
Is box mein wo kul raqam likhein jo aap ne bank ya kisi idaary se udhaar li hai

2. Annual Interest Rate (Sood ki Sharah)
Yahan saalana sood ki sharah likhein. Yaad rhay ke ye saalana (annual) rate hota hai (maslan: 12%).
Calculator khud hi isay mahaana hisab mein tabdeel kar le ga.

3. Loan Tenure (Muddat)
Ye is calculator ka sab se “Smart” hissa hai. Aap apna waqt teen hisson mein likh saktay hain:
Years:
Kitnay saal ke liye loan liya?
Months:
Agar kuch mahinay oopar hain to wo likhein.
Days:
Agar dino ka bhi hisab hai to wo bhi darj karein.


Note:

Agar sirf saal hain to baki boxes mein ‘0’ rehne dein.

4. Calculate Now (Hisab Lagayein)
Jab aap button dabayein ge, tau nrrchay Result Area khulay ga jahaan aapko 3 ahem cheezain nazar aayengi:
Monthly EMI:
Aapki har mahinay ki pakki qist.
Total Interest:
Poore tenure mein aap ne total kitna sood dena hai.
Total Payment:
Asal raqam aur sood mila kar aap kul kitni raqam wapis karenge.

Zaroori Baat :
EMI ka hisab Reducing Balance par hota hai, yani jaise jaise aap qist ada kartay hain, baaqi bachi hui raqam par interest kam hota jata hai.
Ye calculator aapko bilkul bank ke meyaar (standard) ke mutabiq result deta hai.

Disclaimer:
This is an estimated calculation. Actual bank figures may vary based on taxes and processing fees.

Advanced Loan EMI Calculator – Students’ Den
Years
Months
Days

Your Monthly EMI:

0
Total Interest: 0
Total Payment: 0
Students’ Den Academy | SmartWork Toolkit © 2026

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top