Kabhi kabhi koi parda uthaana parta hai

​Jo apnay aib dekhta hai, woh doosron ke aibo’n se bai-khabar rehta hai. (Fariduddin Attar)



​Intikhab: Fazeelat ya Zaroorat?

Aik darvesh ustad ka mureed, jis ke ustad ki shohrat poore aalam-e-islam mein pheli hui thi, ek din Khurasan ke Azeem Sheikh ki khidmat mein hazir hua aur fakhr se kehne lga;
’’Mujhe yeh aezaaz hasil hua hai ke meray murshid ne mujhe b’tor shagird qabool kiya, halan keh roz sainkro’n afraad un ke paas hazir hotay hain aur waapas bhej diye jaate hain.‘‘

Azeem Sheikh ne jwaab diya;
’’Biradar-e-aziz! Mein tumhari taleem ko mazeed aagay brhaanay ke liye ek bunyadi baat btaata hoon. Tumhein is liye nahi chuna gya ke tum doosron se zyaada ba-kamal thay, balkeh is liye ke tumhein taleem-o-tarbiyat ki sab se zyaada zaroorat thi.‘‘ (Idries Shah)



Kabhi kabhi koi parda uthaana parta hai

Kierkegaard kehta hai, ’Dhoka khaanay ke dau treeqay hain: ek yeh ke us par yqeen kar liya jaaye jo sach nahi hai; doosra yeh ke us par yqeen karnay se inkaar kar diya jaaye jo sach hai. Shagird apni bartari ke jhootay zaam mein mubtla tha, jab keh khud ko doosron se bartar samajhna ruhaani taraqqi mein rukaawat ban jaata hai. Sheikh ne us ki anaa torr kar usay aajzi ki taraf maayal kiya, kyun keh ’Suraahi sar-nigoo’n ho kar bhraa karti hai pemaana‘.

​Jab insan ehsas-e-bartari ka shikar hota hai, us ke andar seekhnay ka jazba maand par jaata hai. Shagird khud-pasandi aur nargasiyat ka maara tha aur apnay baaray mein hi soch raha tha. Sheikh ne usay hqeeqat ki taraf morra ke intikhab zaroorat par mabni tha na keh fazeelat par.

Ilm ke safar mein anaa-parasti sab se brra aib hai. Sheikh ne shagird ko us ke is aib se aagah kar ke us ki tahqeer nahi ki, balkeh islaah ki.

​Kisi ke aib chupaana swaab hai lekin
Kabhi kabhi koi parda uthaana parta hai
​(Shaayar: Azhar Inaayti)

Khud-pasandi aur khud-etemadi mein bahut farq hai. Khud par yaqeen rakhna aur baat hai, aur baqi sab ko past-o-haqeer khyaal karna kuch aur.
Apni ilmiyat ka dhandora peetnay ki bjaaye apnay andar jhaankna aur apni ’kmee‘ pehchaan-na insan ke liye ilm ke mazeed rastay khol deta hai.


​’’Ijz yeh nahi ke aap khud ko kam-tar samjhein, balkeh yeh hai ke aap apnay baaray mein kam se kam sochain.‘‘ (C.S. Lewis)

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top