​Apni Tanqeed Se Doosron Ki Tameer Karain


​”Tanqeed barish ki manind aisi narm honi chaahiye ke wo us ki jarro’n ko tbaah kiye baghair us ki nasho-numa mein madad karay.”
(Frank A. Clark)



​Polyclitus Ne Tanqeed Ka Samna Kaise Kiya?

​Azeem mujasama saaz Polyclitus ne ek hi mauzu par dau mujasamay banaaye. Ek mujasama logon ki khaahish ko mad-de-nazar rakh kar aur doosra art ke krray usoolon ko pesh-e-nazar rakhtay huay bn\aya. Wo logon ki tanqeedi aara kay mutaabiq “behtari” laanay ke liye pehle mujasamay mein trameem karta raha.

​Jab dono mujasamoon ki ikathay numaaish ki gayi to pehlay mujasamay par khoob tanqeed ki gayi jab ke doosray mujasamay ki sab ne dil khol kar staaish ki. Is ke radd-e-amal mein Polyclitus ne kaha:

​”Yeh mujasama, jis mein aap ko beshumaar aib nazar aa rahay hain, aap hi ke tanqeedi mashwaron ka haasil hai aur yeh doosra mujasama wo hai, jisay may ne khud takhleeq kiya.”



​Self-Censorship Se Ijtinaab Kijiye.

​Logon ki bay-jaa tanqeed hamein ‘Self-Censorship’ par majboor kar deti hai aur hum apni asal takhleeq se duur ho jaatay hain.
Sartre kehta hai:
“Jahannum doosray laug hain.”
Yaani hum khud ko doosron ki nazron ke mutabiq dhalnay mein lagay rehtay hain. Yahi rukaawat hamein waisa ban-nay mein haail ho jaati hai, jaisay ke hum hain.

​Danishmandi yahi hai; hum doosron ki usi tanqeed ko khaatir mein layein jo hmaari tameer karnay mein muaawin ho. Aksar nqaadon ki tanqeed mein apni hi zaat ki mahroomiyan chhupi hoti hain ya phir un ki tanqeed itni sat’hi hoti hai ke funn ki gehraiyon se na-aashna honay ke bawajood mehz funn-kaar ki hausla shikni aur khud ko bartar sabit karnay ke liye hoti hai.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top