Aap ka waqt mehdood hai.
’Rooh ka takabbur us ka apna sab se bada dushman hai.’
(Arastu)
Dau faqeer ek darakht ke saath kamar tikaaye baithay huay thay. Un ke saamnay ek nadi beh rahi thi. Wo bohat khoobsurat din tha magar phir bhi un mein se ek ghair mutmain aur udaas faqeer, doosray faqeer se kehne laga:
”Jaante ho, bheek maangna kis qadar aziyat-naak hai. Zra ghaur karo, park ke bencho’n par ya sardi mein foot-path par thithartay huay raatai’n kaatna. Kabhi maal gaariyo’n mein chhup kar safar karna aur police ki nigaahon se bachne ki hma-waqt fikr mein rehna. Ek shehar se doosray shehar bhataktay rehnay ki musalsal zalaalat bardaasht karna, keh pta nahi agli roti kahaa’n se milay. Kutto’n ki tarah awaara gardi aur phir apnay hi saathiyo’n se pesha-waraana khauf….”
Us ne ek lambi si dukh bhari aah bhari toh doosra faqeer bola,
“Acha, agar tum itnay hi pareshaan ho toh phir tum yeh kaam chhor kar koi aur kaam kyu’n nahi dhoondtay?”
Pehlay faqeer ne ek dam chaunk kar, zra sakht lehjay mein jwaab diya,
“Waah bhai, tumhaara matlab hai keh mein duniya ke saamnay yeh maan loo’n ke mein ek nakaam shakhs hoon?”
Social validation insaan ka ek aisa khud-saakhta pressure hai, jis ke bojh tlay wo bohat zyaada takleef ka shikaar rehta hai magar apni jhooti anaa qaaim rakhnay ke liye durust samt aagay nahi barhta. Durust manzil ka intikhaab sirf mehnat nahi maangta balkay sachaai tasleem karnay ki himmat bhi talab karta hai.
Is darr se keh laug hamein nakaam tasawwur karain ge, hum apni haalat badalnay ki bjaaye koi na koi jwaaz gharh laitay hain aur apni naa-kaami ko chhupaanay ke liye jhooti anaa mein mubtala rehtay hain. Sigmund Freud ke b’qol; ’Beshtar laug haqeeqatan azaadi nahi chaahtay, kyu’n ke azaadi mein zimmedaari shamil hoti hai, aur beshtar laug zimmedaari se dartay hain.’
Apni isi ghair-zimme-daraana soch ki bina par laug tabdeeli ke mumkinah nuqsanaat ko haqeeqi se zyaada aur us ke fwaaid ko haqeeqi se kam-tar samajh kar khud-farebi ka shikaar rehtay hain.
’Aap ka waqt mehdood hai, is liye ise kisi doosray ki zindagi jee kar zaaya na karein.’
(Steve Jobs)
🌹 Sharing is Caring 🌹