may ba-muqaabla tum
Us ne ek daaira khencha
aur mujhe us se nikaal baahar kiya,
(Phir woh cheekha)
“Bad-aqeeda, sarkash, qaabil-e-nafrat (ho tum!)”
Lekin mohabbat aur may
jeet ke fann se b’khubi aashna thay,
Hum (dono) ne (bhi) ek daaira khencha
Aur usay (apne daairay ke) andar kar diya.
(Edwin Markham)
Nanha Buddy apni umar ke lihaaz se bahut zyaada taiz aur shaatir tha. Agarchay woh pasta-qaamat tha lekin be-had hazir dimagh tha.
Ek roz, woh apne school ke sehan mein lunch se lutf andoz ho raha tha. Teen hattay kattay larkay us ki jaanib barrhay aur raub-daar lehjay mein us se us ka khaana maanga. Woh thora sa hichkichaya aur aahista se uth khrra hua.
”Lagta hai, tum ooncha suntay ho”
Un teeno mein sab se draaz qad larka ghurraaya,
“Hum ne kaha, lunch box hmaaray hwaalay kar dau.”
Buddy dramaayi andaaz mein peechhay hta aur phir ek taang ko harkat de kar jootay se kachay sehan par ek lakeer khenchi. Us ne us group ke leader ki aankho’n mein aankhei’n daal kar kaha,
“Himmat hai toh yeh line cross kar ke dikhaao.”
Woh lamba chaurra larka challenge qabool kar ke ek lamha ta-ammul kiye baghair apna pao’n ragartay huay us line se aagay barrha aur dhaara,
“Lo, main ne line cross kar li hai. Ab kar lo jo karna hai.”
Us pasta qad larkay ne, dhons jmaanay waalay larkay ki aankho’n mein phir se dekha aur muskuraatay huay bola,
“Ab jhagra kaisa? Ab toh hum dono ek hi taraf kharray hain.”
Bsaa auqaat jismaani taaqat ki bjaaye dimaagh ka durust istemaal zaroori hota hai. Agar hum soorat-e-haal ko ‘may ba-muqaabla tum’ se badal kar ‘hum’ kar dein, toh aksar masaail ka hal baghair uljhay nikal aata hai. Dushman ko khatam karnay ka behtareen tariqa yeh bhi hai ke usay dosti ke daairay mein shaamil kar diya jaye. Is tarah hum dushman se larray baghair usay zair kar saktay hain.
”Andhera, andheray ko nahi bhgaa sakta; sirf roshni aisa kar sakti hai. Nafrat, nafrat ko nahi khatam kar sakti, sirf mohabbat aisa kar sakti hai.”
(Martin Luther King Jr.)
🌹 Sharing is Caring 🌹