Matt sehl hmai’n jaano


​Doosron ko apne haath aur zubaan ke sharr se mehfooz rakhna nihaayat samajhdaari, baaligh nazri aur aala zarfi ki alaamat hai. Jis m’aashray mein fard ki izzat-e-nafs ka khayaal rakha jaata hai, wahaan mohabbat, aitemaad aur apnaaiyat ke ehsaasaat parwaan charhtay hain. Bhooka shakhs qaabil-e-reham hota hai magar us se pastt-tar haalat mein woh shakhs hai jis ko izzat-e-nafs se mehroom rakha gaya ho.
Victor Hugo ke nazdeek mohabbat ka sab se brra izhaar yeh hai ke doosron ki izzat-e-nafs ka khayaal rakha jaaye. Ehtiraam-e-aadamiyat ek aisa jazba hai jis par tehzeeb ki imaarat mustahqam buniyaado’n par kharri hoti hai.



Mary naam ki ek nayi tarbiyat yaafta teacher, Navajo Indian riyasat mein tadreesi khidmaat ke liye gayi. Har roz woh paanch students ko blackboard ke paas bulaati aur unhain homework se koi bhi aasaan sa sawaal hal karnay ke liye deti. Woh khamoshi se wahaan khade ho jaate lekin koi bhi swaal hal karnay ke liye bilkul aamada nazar na aatay. Mary is baat ko samajh na paayi. Apni tarbiyat ke dauraan us ne jo kuch seekha, idhar kaam na aaya.

​Is se qabl jab woh Phoenix (shehar) mein bachchon ko parrha rahi thi, tab aisa koi maamla paish na aaya tha.

​”Mujh se kya ghalti ho rahi hai? Kya yeh mehez ittefaaq hai ke mau har roz unhi paanch ko bulaati hoon, jinhain swaal hal karna nahi aata?”
Mary hairaan thi,
“Nahi, aisa nahi ho sakta.”

​Bil-aakhir us ne students se pooch hi liya, aakhir masla kya hai. Aur un ke jwaab mein, Mary ne un nannhay students se apne saath saath doosron ki bhi khuddari aur izzat-e-nafs ke taqaddus ka hairaan kun sabaq seekha.

​Ya’ni woh students ek doosray ki izzat-e-nafs ka paas rakhtay thay aur jaantay thay ke har kisi mein woh sawaalaat hal karnay ki ahliyat nahi hai.
Apni umr ke ibtidaa hi mein unhon ne classroom mein “jeet – haar” ki be maqsad daur ko yaksar thukra diya tha.
Unhain yaqeen tha, blackboard par kisi student ko harrasaa’n aur nakaam dekhnay mein kisi ki bhi jeet nahi hoti. Is liye unhon ne sab ke saamnay ek doosray ki izzat-e-nafs majrooh karnay waalay aisay kisi bhi muqaablay ko sitay se tasleem hi nahi kiya.

​Jab Mary ko yeh baat samajh mein aa gayi to us ne apna tareeqa-e-kaar badal diya. Ab us ne har bachay se infradi taur par swaal check karna shuru kar diya bjaaye ke poori class ke saamne uski izzat-e-nafs ko thaiss pahunchaaye.

​Woh sab ilm haasil karnay ke liye tayyaar thay – magar kisi ki izzat-e-nafs ki qurbani de kar nahi.

Jis insaan ke a’zaaz mein Rabb ne duniya takhleeq ki, us ki izzat-e-nafs ko kuchalna tau goya laa’l o gauhar ko mutthi bhar khaak ke mol baich daalna hai.

Matt sehl hmai’n jaano phirta hai falak barso’n
Tabb Khaak k parday se insaan nikaltay hain

(Meer Taqi Meer)

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top