Hai jurm-e-zaeefi ki szaa marg-e-mufajaat
Aik dehi dukaan kay daakhli raastay kay qareeb dhoop mein neem-khaabeeda ek boorrha kutta halki si siskyaa’n laitay huay ghurra rahaa tha.
Ek gaahak ne dukan-daar se poocha,
“Aap ka kutta aisay kyun ghurra rahaa hai?”
Dukan-daar ne jwaab diya,
“Dar-asl, woh ek keel kay upar laita hua hai.”
“Tau phir, woh wahaan se uth kyun nahi jaata?” gaahak ne herat se poocha.
“Kyun keh usay zyaada dard nahi ho raha.”
Bsa-auqaat hum dard ko is liye nazar-andaaz kar rahay hotay hain ke hum kisi naye, un-dekhay dard se pehlay hi us kay khauf ka shikaar ho chukay hotay hain.
Misaal ke taur par,
Agar yeh naukri chhor di to nayi na mili tau?
Ya nayi is se bhi badtar nikli tau?
Yeh andruni khauf hmain purani takleef kay saath zinda rehnay par majboor karta hai.
Is tarah hum bad-haali ko bhi apna comfort zone bana laitay hain; sirf is liye ke yeh haalat hmain nayi nahi lagti.
Jab tak dard na-qaabil-e-bardaasht nahi ho jaata, hum kisi tabdeeli ke liye harkat mein nahi aatay.
Agar har takleef mein hmaaray paas radd-e-amal kay intekhaab ki azaadi hai, tau phir is takleef ko bardaasht kartay rehna dar-asl khud ko di hui sza hoti hai.
Aziyyat ko mamool bnaanay ki bjaye hmain behtar tadbeer aur hikmat-e-amli se is se nijaat ki raah dhoondhni chahiye.
Shaayad us boorhay kuttay ka keel par lait kar kaam chal sakta ho, magar insaan agar dard ko apna comfort zone bna le, tau woh usi jurm-e-zaeefi ka shikaar ho jaata hai jiski szaa marg-e-mufajat k siwa aur kya hai
(Shaayer: Khalil Qidwaayi)
🌹 Sharing is Caring 🌹