Gaaye ki kitni taangai’n hoti hain?


Ghair mutanaaza‘ haqaa’iq par fazool behas se tang aa kar Abraham Lincoln ne apna nuqta-e-nazar samjhaanay kay liye apne mukhaalif se ek swaal kiya,
“Gaaye ki kitni taangai’n hoti hain?”

“Yaqeenan, chaar,” mukhalif ne bai-ai‘tinaai se jwaab diya.

“Bilaa shuba, aisa hi hai,” Lincoln ne asbaat mein sir hilaaya.
“Acha, ab farz karain, agar aap gaaye ki dum ko bhi uski taang keh dain tau phir ek gaaye ki kitni taangai’n hui’n?”

“Aray jnaab, seedhi si baat hai, paanch,”
Doosray shakhs ne jwaab diya.

Lincoln ne kahaa:
“Yahaa’n may aap se ikhtilaaf karnay ki jasaarat karu’n ga kyun ke gaaye ki dum ko taang keh dainay se yeh taang nahi bunn jaati.”


Abraham Lincoln ne halkay phulkay andaaz mein bohat zabardast daleel di hai; kisi cheez ko koi aur naam day dainay se us cheez ki haqeeqat ya tashakhkhus badal nahi jaata. Yeh faqat haqeeqat se guraaiz ki ek fazool koshish hai. Ayn Rand kay khyaal mein, hum haqeeqat ko nazar andaaz kar saktay hain lekin haqeeqat ko nazar andaaz karnay ke nataa’ij ko nazar andaaz nahi kar saktay.

Sirf naam tabdeel karnay par haqaa’iq nahi badal saktay. Mukhaalif ka foran “paanch” keh daina yeh zaahir karta hai ke woh khud alfaaz ke jaal mein phans gya hai aur Lincoln kay dum ko diye gaye naye naam “taang” ko haqeeqat kay taur par qabool kar liya.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top