baghaawat mai’n hi aazaadi hai.
Qadeem Yunaani tahzeeb ne duniya par apna gehra asar chhorra hai.
Yunaani asateer mafooq-ul-fitrat makhluqaat, insaani heroes aur devtaao’n kay mukhtalif qisso’n par mushtamil hain jo insaani aqaaid, jazbaat, qudrati m’zaahir aur kainaat ki tafheem ki alamati kahaniyaa’n hain aur aaj bhi adab aur falsafay ki fikri ghiza fraaham karti hain.
Sisyphus Korinth shehar ka ek bohot hoshiyar baadshah tha. Us ne apni aql kay bal-botay par baar’ha devtaao’n ko dhoka dainay ki koshish ki. Us ne chalaaki se maut kay devta ko bhi qaid kar liya tha. Devta us se sakht naraz thay. Bil-aakhir devtaao’n ne usay aalam-e-amwaat mein bhej kar abdi aur la-haasil mushaqqat mein mubtala kar diya.
Usay ek bohot bhaari pathar pahaari ki choti tak dhakail kar le jaana hota. Jaisay hi woh pathar uthaa kar choti par pohanchta, pathar achanak lurrhak kar phir se neechay aa jaata. Sisyphus ko phir se woh pathar ooper dhakailna parrta. Is tarah usay yeh kaam hamesha hamesha kay liye dohraana parrta. Yeh ek aisa la-haasil-pun ka daaira tha jiska koi ant na tha.
Kuch tajzia nigaro’n kay khyaal mein, yeh kaam ki bay-maaniyat nahi thi balkay us ki yaksaaniat thi jis ne usay sza bna diya.
Agar Sisyphus har baar ek mukhtalif pathar ko lurrhka sakta, ya usi pathar ko mukhtalif pahaaro’n par le ja sakta, ya woh usay lurrh’kaanay kay behtreen tareeqo’n kay saath naye naye tajarbay karta tau shaayad yeh la-haasil kaam sza na rehta.
Insaan ki rooh ko maarnay waali cheez dar’asl kaam ki kami ya na-kaami nahi hoti balkay takhleeqi, challenging aur mutanawwo kaam ki kami hai. Agar Sisyphus kay paas tabdeeli ya behtari ya taraqqi ka mauqa hota tau us ki yehi sza khel ya mashghala ban jati.
Jab ke Albert Camus kay nazdeek, is haqeeqat ko qubool karna zaruri hai ke yeh duniya hmaari khaahishaat kay mutaabiq nahi badlay gi. Is saari bay-maanviyat mein aap ki baghaawat yehi hai ke khud apnay maani paida karai’n.
Sisyphus ko bhi is maujooda halaat mein yeh soch kar khush tasawwur kiya ja sakta hai ke woh kam az kam apnay pathar ki qismat se aagaah hai. Woh har baar neechay utartay huay is la-haasil-pun ko shikast dainay ka ehd karta hai ke woh dobaara isay le jaaye ga. Woh haqeeqat ka saamna karta hai, jaanta hai ke jidd-o-jehad bay-nateejah aur bay-maani hai magar woh amal aur koshish se peechay nahi hat-ta aur apni baghaawat mein hi aazaadi talaash karta hai.
Nataaij ke bajaaye koshish, jidd-o-jehad aur wqaar aham hain. Apni haalat pehchaan kar koshish jaari rakhna, zindagi se faraar kay baghair pooray shaoor kay saath jeena, mushkilaat kay bawajood insaani wqaar ki hurmat aur zindagi ki tmaam bay-maanviyat kay bawajood zindagi se mohabbat hi behtareen baghaawat hai.
Woh is saza ko hi apna maqsad bna leta hai. Ab us ki khushi jidd-o-jehad mein hai, hatmi kamyaabi mein nahi. Woh haalaat ko tau badal nahi sakta magar apni soch kay zaaviye ko badal kar apnay liye naye maani khoj sakta hai. Haalaat kay jabr mein yehi us ki aazadi hai.
Dar’asl yaksaaniat aur jamood, depression aur bay-maanviyat ke aham muharrikaat hain. Sza kaam ki bay-maqsadiyat mein nahi hai balkay is ki yaksaanaat mein hai.
Hum bhi aksar yaksaaniat ka pathar utha kar roz ek hi choti par lurrh’kaanay ki sza mein mubtala hain. Sisyphus ki kahaani ye sabaq nahi deti ke mehnat bai-kaar hai balkay ye baat sikhaati hai ke baghair jazbay aur maqsad kay, ki jaanay waali mehnat bai-kaar ban jati hai.
Agar hmai’n pathar dhakailna hi hai tau kyun na hum pathar dhakailnay kay nit-naye tajarbay karai’n, pahaari par pohanchnay par hi tawajjo markooz na karai’n, rastay mein honay waalay tajarbo’n ko bhi s’raahai’n. Chaahay kaam chhota hi kyun na ho, is ka ek maqsad tay kar lai’n.
Yoo’n, majboor honay kay bawajood hum apni taqdeer kay maalik ban saktay hain.
🌹 Sharing is Caring 🌹