may khud ko mayoos nahi karna chaahta۔
Duniya ka har kaam ibtida mei’n mamooli hota hai, laikin jab is ki takmeel kay dauraan shadeed mehnat ke saath mohabbat aur khuloos ka lams bhi shaamil ho jaaye tau yehi mamooli kaam azmat ki alaamat ban jaata hai.
Apnay har kaam ki takmeel kay baad insaan mei’n sataaish ki tamanna baidaar hona aik qudrati jazba hai. Daad o tahseen paa kar har insaan apna har aindah kaam mazeed mehnat aur bharpoor lagan se sar-anjaam deta hai.
Magar aik sachaa funn-kaar funn ki maraaj par tab pohchta hai;
jab woh khaarji tareef se zyaada apni takhleeq kay har marhalay mei’n apnay kaam kay saath diyaanat-daari se jurra rehta hai aur kisi funn-paaray ki takhleeq kay dauraan darpaish challenges ko qabool kar kay un par funn-karaana fatah haasil karna us kay liye zyaada aham ban jaata hai.
Phir jo na-qaabil-e-byaan lutf usay mayassar aata hai, us kay saamnay har sataaish rait kay gharonday ki tarah bay-mani ho jaati hai.
Ek umr-raseeda artist se jab swaal kiya gya,
“Aap ne ab perform karna kyu’n chhor diya hai?”
Us ne jwaab diya, “Is umr mei’n mai’ray jism mei’n ‘ab woh sakat nahi rahi ke apni behtareen performance day saku’n, is liye may logo’n ko mayoos nahi karna chaahta, aur sab se barh kar yeh ke may khud ko mayoos nahi karna chaahta.”
Kisi bhi kaam ki haqiqi khushi aur sacha sila yeh hai ke insaan khud ko mayoos na karay. Is se brra inaam aur kya ho sakta hai ke woh apnay saath diyaanat-daar rahay. Doosro’n se apni mehnat ki daad chahnay se pehlay, woh khud ko fakhar se keh skay;
Hum ko faqat ryaazat-e-sheri say kaam hai
Saadaat-e-funn pay daad ka sadqa haraam hai
(Shaayer: Na-maloom)
Mashhoor Yunaani mujassama nigaar Phidias Athenia ka mujassama traash raha tha tau us kay sar kay peechhay baalo’n ki lattai’n traashnay mei’n takneeki mahaarat kay har pehlu ko madde-nazar rakhtay huay intehaai bareeki se kaam kar raha tha.
Ek raah-geer ne usay apnay kaam mei’n had-darja magan daikh kar hairat se poocha:
“Yeh mujassama intehaai oonchaai par nasb kiya jaaye ga aur is ki pusht par sang-e-marmar ki diwaar hogi, tau phir kaun dekh paaye ga, tum ne juz’iyaat ka poora khyaal rakhtay huay itni mehnat aur mahaarat se baalo’n ki in latto’n ko traasha hai?
“May dekhu’n ga.”
Phidias ne jwaab diya.
Aap kay har faill ka pehla tamaashai, har baat ka pehla saamay aur har koshish ka pehla naaqid dar haqeeqat aap ki apni zaat hai.
Is darvaish-sift naaqid ko hamesha apni behtareen performance dai’n ta ke aap apni nigaaho’n mei’n surkh-ru rahai’n.
Apnay har kaam ko ibaadat se kam tar khyaal na karea’n.
Sat’hee sataaish aur bnaawati tareefo’n se apnay andar kay sachay naaqid ko mayoosi kay gehray dhundlako’n mei’n na khonay dai’n.
Agar aisa hai to jaan lijiye, aap duniya ki nigaaho’n mei’n tau jeet chukay, magar yeh jeet aap ko hamesha nidhaal rakhegi.
🌹 Sharing is Caring 🌹