Risk na laina sab say brraa risk hai.
AfriKi (baarah singha) Impala das foot oonchi aur tees foot lambi chhlaang lagaa sakta hai.
Taa’hum in phurteelay jaanwaro’n ko aksar sirf teen foot oonchi chaar-deewari kay ehaata mei’n rakhaa jaata hai.
Dar-asl, yeh jaanwar tab tak chhalang nahi lagaatay jab tak unhai’n maloom na ho keh un kay qadam kahaa’n jaa kar girai’n gay.
Kuch afraad bhi aisi hi fitrat kay maalik hotay hai’n. Woh zindagi mei’n kabhi risk nahi letay kyun ke woh apne dil mein pehlay hi un-daikhay nateejay ka khauf bithaa laitay hai’n. Woh yahi chaahtay hai’n ke saaray signals green ho’n tabhi safar shuru karai’n.
Khauf ko apni dhaal samajhnay waalay yeh afraad is baat se bay-khabar hotay hai’n ke khauf hi unki raah ki diwaar bna hua hai. Dil mai’n darr kisi na kisi soorat rehta hi hai, magar jab yahi darr hmaaray har faislay mei’n shaamil ho jaaye tau mumkinah neyi raahai’n khatm ho jaati hai’n. Isi liye syaanay kehtay hai’n: risk na laina zindagi ka sab say brraa risk hai.
🌹 Sharing is Caring 🌹