Insaan apnay mahol ki paidawaar hai.


Japan mei’n Carp (machhli) paalna aksar logo’n ka pasandeeda mashghala hai.
Carp kay mutalliq hairat angaiz baat yeh hai keh agar isay chhotay bartan mei’n rakhha jaaye tau us ki lambaai sirf teen ya chaar inch tak barrhay gi. Agar isay chhotay talaab mei’n paala jaaye tau yeh chhay se das inch tak lambi ho jaaye gi. Aur agar nisbatan kisi barray talaab mei’n parwarish ki jaaye tau is ki lambai aik se dairrh foot tak barrh sakti hai. Agar kisi brri jheel mei’n ho tau yeh teen foot tak afzaaish ki salaahiyat rakhti hai.

Hmaari jismaani aur zehni afzaaish bhi hmaaray ikhtiyaar kardah mahol kay mutabiq hi hoti hai. Achi sohbat mei’n hmaaray kirdaar, akhlaaq, jazbaat aur rooh ki masbat tameer hoti hai. Acha aur bura mahol insaan ki shakhsiyat ka aaks ban jata hai. Manfi rawaiyyo’n waalay smaaj mei’n rehnay waalay insaan ki socho’n ka rukh bhi manfi ho jaata hai. Is kay bar’aks, munazzam aur umeed afza mahol mei’n rehne waalay insaan ki posheeda salaahiyatai’n mazeed nikhar kar saamnay aati hai’n.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top