Haqeeqi Faateh kabhi ruktaa nehi
Kansas (shehr) mei’n dau bhai aik m’qaami school mei’n kaam kartay thau. Un ka kaam, har subah, classroom mei’n rakhay choolhay mei’n aag jalaana tha.
Mausam-e-sarma ki aik subah, dono bhaiyo’n ne chulhaa saaf kiya aur aag jalaanay kay liye is mei’n lakriyaa’n daali’n. Aik dum dhamaakay se saari imaarat hil gayi. Bara bhai aag mei’n jhuls kar jaa’n baa’haq’ ho gya aur chhotay bhai ki taangai’n buri tarah jal gyi’n. Baad mei’n inkishaaf hua keh mitti kay tail kay dabbay mei’n tail ki bjaaye petrol tha.
Doctor ne khadsha zaahir kiya; zakhmi bachay ki taangai’n kaatni prrai’n gi. Walidain gham se nidhhaal ho gaye. Unho’n ne aik bacha pehlay hi kho diya tha aur ab doosray baitay ko tango’n se mehroom hona tha, magar jaanay kyun unho’n ne taqdeer par ab bhi bharosa kiya aur doctor se iltija ki keh abhi is kaam ko multavi kar day. Doctor ne baat maan li.
Woh har roz doctor se iltija kar kay kaam aindah kal par taaltay rahay aur dua kartay rahay keh un ka beta sehat-yaab ho kar dobaara se chalna phirna shuru kar day ga. Dau maah tak waalidain aur doctor is maslay par guftagu kartay rahay. Waalidain ne apnay baitay kay andar ye yaqeen daal diya tha keh aik din woh zaroor theek ho jayega.
Unho’n ne apnay baitay ki taangai’n nahi kaatnay dee’n par jab patiyaa’n utaari gayi’n tau maloom hua keh us ki daayai’n taang doosri taang se teen inch chhoti hai. Baayai;n taang ki ungliyaa’n taqreeban saari jhuls gayi thin.
Phir bhi woh bacha hairat angaiz taur par pur-azm tha. Sakht dard aur aziyat kay bawajood, woh khud ko roz warzish karnay par aamaadah karta aur bil-aakhir shadeed takleef kay bawajood woh chand qadam chal gaya.
Dheeray dheeray is bahaadur ne baisaakhiyo’n ko khair aabaad kahaa aur mamool ke mutaabiq chalnay lagaa.
Yeh pukhta-azm naujawaan daurtaa rahaa, daurtaa rahaa… aur phir yehi taangai’n jo kaat di jaanay waali thee’n; aik meel daurr mei’n, aisi bhaagi’n, keh World Record bnaa diya.
Is ka naam Glenn Cunningham hai. Is azeem insaan ko “Duniya ka Taiz Raftar Tareen Insaan” ka title diya gaya aur sdee ka sab se brraa athlete qraar diya gya.
🌹 Sharing is Caring 🌹