Ghubaara apnay rang say nehi urtaa


Zamaanay ki aankh aksar baatin ki gehraai tak nahi daikh paati, zaahir ka mushaahida kar kay hi saaray faislay kar leti hai. Aisay log hamesha kam tadaad mei’n hotay hai’n jin ko b’saarat ke saath baseerat se doosro’n ka mushaahida karnay ki tofeeq hoti hai. Zahiri shakal o soorat se kisi bhi cheez ke baaray mei’n faisla kar lena satahi soch ko farogh deta hai. Agar aap kisi kitaab ki zaahiri haiyat se uski asal qadr o qeemat ka andaaza nahi laga saktay to insaan ka zaahir dekh kar bhi us kay baaray mei’n koi hatmi raaye nahi qaaim karni chahiye. Agar kisi ki zaahiri shakhsiyat dekh kar hi hmaara pehla ta’assur us kay baaray mei’n hmaari hatmi raaye ban jaata hai to hmai’n khud apnay baatin kay tazkiye ki ashad zarurat hai.

Bad-qismati say zaahiri shakal o soorat ko ahmiyat dainay ka rivaaj is qadar aam hai keh hum khud bhi apnay baatin ki taaqat se bay-khabar rehtay hai’n aur khud ko bhi waisay hi dekhna shuru kar detay hai’n, jaisay doosro’n ki satahi beenaai ne hmai’n parkhaa hota hai.


Kai saal qabl, aik udhaitr umer shakhs, Chicago ki aik glee kay nukkar mei’n ghubaaray baich kar guzar basr karta tha. Us kay kaarobar mei’n urooj o zwaal aata rahaa. Woh bacho’n ki tawajjo haasil karnay kay liye, aksar auqaat chand ghubaaro’n mei’n helium gas bhar kar dhaaga baandh kar upar chhor deta. Gulaabi aur safaid ghubaaray hwaa mei’n jhooltay to bachay un khush rang ghubaaro’n ko daikh kar khareednay kay liye foran us kay paas aa jatay aur yuu’n woh achhi kamaai kar leta.
Aik roz aik chhota Habshi bacha glee mei’n tiktiki baandhay ghubaara-frosh ko daikh rahaa tha. Woh hwaa mei’n mu’allaq un khoobsurat ghubaaro’n ko brri dilchaspi se daikhta rahaa. Din kay ikhtitaam par, woh Habshi bacha kuch hich-kichaatay huway ghubaara-frosh kay paas aaya aur us kay baazu ko pakar liya. Ghubaara-frosh se nazrai’n milaa kar us ne swaal kiya,
“Janaab, agar aap is siyah ghubaaray mei’n hwaa bharai’n gay tau kya yeh bhi urray ga?”
Us bachay ki masoomiyat se mutaasir ho kar ghubaara-frosh ne pyaar bhray andaaz mei’n samjhaatay huway jwaab diya,
“Beta, ghubaarah apnay rang ki badolat nahi urta, balkay jo gas in ghubaaron kay andar hai, woh unhai’n urraa rahi hai.”

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top