Pehla aur akaila Mantiq-daan
Aik shakhs takabbur se keh rhaa tha;
Woh “pehla” aur waqe‘atan “akaila” mantiq-daan hai.
Yeh sun kar mashhoor Yunaani falsafi Demonax ne jwaab diya:
“Agar tum pehlay mantiq-daan ho tau iska matlab hai tum akailay nahi,
aur agar tum akailay hee mantiq-daan ho tau phir pehlay kisi tarah nahi ho saktay.”
“Takabbur hamesha aql ko uljhaa deta hai, aur mantiq se bhara shakhs bhi agar khud-pasand ho jaaye to sab se brri ghair-mantiqi baat khud us ki zaat ban jaati hai.”
🌹 Sharing is Caring 🌹