Roshnaai


Aap likhnay kay liye
Kis rang ki roshnaai istemaal kartay hai’n?
Aam taur par
Neeli ya siyah roshnaai istemaal ki jaati hai
Lekin may
Baghair roshnaai kay
Kaaghaz par likh leta hoo’n
Is mai’n aasani yeh hai
Keh mitaanay ki diqqat se nahi guzarna parta
Likhaai ko parhnay mai’n bhi
Mushkil paish nahi aati

Agarchay yuu’n
Mukhtalif laug
Isay mukhtalif andaaz se parhai’n gay
Mumkin hai
Woh ma‘ni o mafhoom bhi alag alag nikaalai’n
Lekin yeh imkaan tau
Kisi bhi tahreer ko parhnay mai’n
Baharhaal rehta hi hai

Isi taraha Aap is baat ke paaband nahi
Ke aap
Likh kis zabaan mai’n rahay hai’n
Waisay may jis zabaan mai’n likhta hoo’n
Woh meri apni ijaad kardah hai
Aur us kay qwaaid aur usool bhi
Mairay apnay banaaye huway hai’n

Mujhay aaj tak
Aik safha bhi aisa nahi milaa
Jis par kuch likha hua na ho
Asl mai’n
Mera tajziya tau yeh hai
Keh kaaghaz par
Kisi bhi roshnaai ka istemaal
Likhnay kay liye nahi
Bal’keh likhay huway ko
Mitaanay kay liye kiya jata hai
Yuu’n
Duniya ki saari kitaabai’n
Hmai’n koi ilm nahi daitee’n
Bal’keh ilm kay makhzaat par
Pardaa daalti hai’n

Saaf aur bay-daagh kaaghaz
Saaf aur bay-daagh tahreer hai
Jo kitaab abhi mansa-e-zuhuur par nahi aayi
Usay
Us kay adam mai’n parrh kar dekhiye



( Shaayer: Saeed-ud-deen )

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top