Bay-Jaan Nazm


Yeh aik bay-jaan nazm hai
Aap ka kuch nahi bigaaray gi
Aap kay raastay mei’n nahi aaye gi
Ho sakta hai
Ainda yeh aap ko nazar hi na aaye

Isay tau koi bhi thokar maar kay
Fiza mei’n uchhaal sakta hai
Ya haath mei’n uthaa kay
Chhat se takraa sakta hai
Aasman kay neechay ya deewar kay saath
Jab yeh idhar udhar lurrhak rahi hau
Aap is par dil khol kay hans saktay hai’n
Itna hans saktay hai’n
Kay aankho’n se aansu nikal aayai’n
Aik bay-jaan nazm tau ro bhi nahi sakti

Aap zyaada khush-qismat hai’n
Jaan-daar hai’n
Kuch bhi kar saktay hai’n
Aik bay-jaan nazm ki
Jaan bhi le saktay hai’n



( Shaayer: Zeeshan Sahil)

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top