Khush’aamdi? … Khush-Aamdeed …

Zmaanay mai’n khush’aamad ka cahlan is liye bhi raayej rehta hai keh hum doosron se apni tareef sun kar kisi aur hee duniya mai’n gum ho jaatay hain, chaahay woh tareef jhooti hee kyu’n nah ho. Sraahay jaanay kay liye hum khush’aamad par bhi khush rehtay hain aur khush’aamad afraad hmaari isi Kamzori ka faaidah uthaa kar hmai’n khud se dhoka denay mai’n kamyaab ho jaatay hain. Yeh aisi khud fraibi hai jis mai’n insaan jaantay boojhtay aa jaata hai. Yehi wajah hai, haqeeqat btaanay waalay hamesha kumm-yaab hotay hai’n aur aksar ataab ka shikaar bhi rehtay hai’n kyun-kay woh aisa aayena hotay hai’n jinn mai’n hmaari hqeeqi soorat nazar aati hai jisay hum dekhna gwaara nehi krtay. Aisay kumm-yaab logo’n se khush’aamad pasand aisay duur rehta hai andhaira roshni se duur hota hai.

Dau aadmi mehv-e-guftgu thay. aik Ameer tha aur doosra ghareeb.
Ameer nai ghareeb se swaal kiya.
“Agar may apnay sonay kay 100 tukrro’n mai’n se bees tumhai’n day doo’n, tau kya tum meri khush’aamad karo gay?”
“Magar yeh tau bohat kumm muaawza hai. Itnay kumm muawzay par, may bhlaa kyu’n khush’aamad kroo’n ?”
Ghareeb nay jwaab diya.
“Acha, agar sonay kay nisf tukrray doo’n tau phir meri khush’aamad karo gay?”
“Agar yeh baat hai tau phir hum dono braabar ho jaaye’n gay aur khush’aamad ki koi wajah hee nehi rehay gi.”
“Aur agar sonay kay sbhi tukrray tumhai’n day doo’n tau meri khush’aamad karo gay ya nehi?”
“Yeh tau intehaayi ahmqaana swaal hai. Saaray sonay ka maalik hee may hoo’n ga tau is kay baad bhi kya mujhay tumhaari khush’aamad krnay ki zrurat ho gi?”

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top