Tu hans rha hai mujh pay mera haal dekh kar


kmaal kiya hai?
Aap kay paas vsaayel, tajriba, shohrat kuch bhi nah ho aur saadgi aisi keh aap ki zbaa’n se koi azm ki baat suntay hee laug qehqahay lagana shuru kar dain.
Aap un kay qehqaho’n kay sath aik aisa hee buland aur zinda dil qehqaha lagaa kar kuch aisi hee baat kahain;

Tu hans rha hai mujh pay mera haal dekh kar
Aur phir bhi may shareek teray qehqahon main hoon

(Ahmed fraz)

Aur phir aap apna hosla pastt krnay ki bjaaye apnay amal se fatah ka aisa nqaara bjaayen keh sab kay qehqahay fatah ki us goonj main gum ho jaayen.

Kmaal kiya hai?
Aap apni lagan se har farsooda rivaayat paao’n mai’n rondtay huway aagay brhtay jaayen.


Australia kay boorhay kisaan Cliff Young nay aisay hee Junoon se duniya kau chonka kay rakh diya tha.
Aaluo’n kay kasht-kaar iksath saala Cliff Young nay 1983 main pehli baar mun’aqid ki jaanay waali 875 kilometer tveel ‘Sydney-Melburn Ultra Marathon Race‘ jeetnay ka khaab dikha.
Aik aisi ‘daurr‘ jisay baad-azaa’n duniya ki azeem tareen dorron main shumaar kiya gya.

Riwaayati treeqay se tez bhaagnay ki bjaaye, woh daurrnay aur chalnay ki mili juli ‘ghsit’ti huyi chaal’ se aagay brhta gya.
Us par qehqahay buland huway. tnz hota rha aur usay paagal khyaal kiya gya. Magar us nay nah sirf us race main fatah haasil ki balkay duniya kay 149 behtareen khilariyon kau 9 ghantay ki tareekhi maat di.
Cliff ki kamyabi tmaam daqia-noosi rukaawaton aur sochon kay munh par tmaancha thi jo makhsoos umer, zaahiri Taaqat aur riwaaiti tareeqa car kau hee kamyabi ka meyaar samajhti hain.

Schi lagan, khud par yqeen aur mustaqil mizaaji ho tau hiqaart-aamaiz qehqahay bhi aap ki raah main rukaawat nehi bun sktay.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top