Dau dafa ka zikr hai
Aik dafa ka zikr hai;
Mehfil brkhaast huyi. Aik saahib uthay. Rukhsat chaahi.
Chltay waqt, dimaagh mai’n isi khyaal ki baaz’gasht rehi;
Ajeeb hotay hai’n aadab-e-rukhast-e-mehfil
Keh uth kay woh bhi chlaa, jis ka ghar nah tha koi
(Sehar Ansari)
Gham ki shiddat brhi. Dar-badari kay dar par bina dastak diye hee woh khud main kehi’n rooposh ho gye.
Doosri dafa ka zikr hay;
Aik saahib thay. Kisi kau rukhsat krnay gye. Usay gaari mai’n bithaaya. Al-widaa kiya. waapsi par dil main yehi khyaal goonjta rhaa.
Ghar kay baaray main yehi jaan skaa hoon ab tak
Jab bhi lauto koi drwaaza khula hota hai
(Sagheer Malaal)
Ghar pohnchay. Drwaaza khula tha. Andar daakhil huway. Achaanak inkishaaf huwa, gaari main tau woh khud hee baith gye thay. Waapas tau woh aaya, jisay rukhsat krnay gye thay.
Gham ki shiddat brrhi. Apni hee chokkhat par baith kar apna intezaar krnay lgay.
🌹 Sharing is Caring 🌹