Kay kaam aaye duniya mai’n Insaa’n kay Insaa’n
Agar aap andhairi raat main timtimaata huwa nannha sa diya hain, jo timtimaatay huway is khauf se dau-chaar hai, hwaa ka halka sa jhonka bhi usay aasani se bujhaa skta hai. Us kay ba-wujood aap bisaat bhar roshni bkhair kar kisi kay andhiray kau chaahay aik lamhay kay liye hee kumm kar rehay hain, zroor raat kay us tareek treen pehar main kisi aur khittay main roshni bkhairta sooraj aap par rashk kar rha ho ga.
Andhairon kau lamha bhar kay liye roshni main badalna shaayad koi azeem kaar-nama nah ho magar jis ka woh aik lamha aap ki wajah se roshan huwa, usay aap nay aik bar ehsaas dila diya keh woh bay-vaq’at nehi, balkay aap kay liye bohat ehm hai.
Jo aap khud shikasta hon, choor choor hon, bay-aasra hon. Apni aankhon main ashkon ka toofan ho lekin aap kisi doosray kau jorr rehay hoon. Us kay kndhay par haath rakh rehay hoon. Usay judge kiye bghair apni bachi-khuchi muskuraahat us par nichhaawar kar rehay hoon. Tab aap vesay hee darakht ka roop dhaar letay hain, jo phhal se mahroomi kay ba-wujood doosron kay liye saaya bnaa huwa hai.
Aap umeed ki doobti kashti ka woh aakhri takhta hain jo kisi aur kau bhanvar se nikaal kay kinaaray tak lay aaya hai.
Dil main zakhm khaa kay jeena kmaal hai magar us se brh kay kmaal yeh hai, doosron ka dard hmaaray jigar main ho.
Jaisay Ameer Minaayi kehtay hain;
khanjar chlay kisi pay tarraptay hain hum Ameer
Saaray jahaan ka dard hmaaray jigar main hai
Muraaqbay ki mehfil main aik shaagird nay guru se swaal kia;
” Meri himmat toot chuki hai ……. May kya kroon?”
”Doosron ki himmat brhaao”, guru nay jwaab diya.
Yehi hai ibaadat, yehi deen o imaa’n
Keh kaam aaye duniya main insaa’n kay insaa’n
(Haali)
🌹 Sharing is Caring 🌹