Zindagi kmaanay mai’n zindagi jeena na bhoolai’n.
Behtar zindagi ke husool ki khaahish aik fitri amal hai. Insaan apnay aur apnay pyaaro’n kay liye zindagi ki sahuliyaat tak rasaai kay liye koshish mei’n lgaa rehta hai.
Magar “mohabbat aur jang mei’n sab jaaiz hai” kay usool ko sahi maan kar hum duniya kmaanay ki tag-o-dau mei’n hi magan rehtay hai’n tau hmaari jeet anaa kay maaray usi insaan ki jeet jaisi hoti hai jo jang tau jeet jata hai lekin andar se khud ko haar chuka hota hai.
Zindagi banaanay ki koshish mei’n zindagi guzaarnay kay liye waqt hi na nikaalna khsaara hi khsaara hai. Maadi khaahishat kay peechay musalsal bhaagta hua insaan har lamha machine ban kar hi guzaarta hai aur jeenay kay lutf ko mau’akhar karta hua aakhir kaar maazi ki nazar ho jata hai.
In khwahishaat ko poori kartay huway agar insaan apnay ikhlaaqi usoool qurban na kray aur apnay paishay ki aqdaar ko malhooz-e-khaatir rakh kar aagay barhtaa rahay tau woh aalam-e-zaat mei’n darwaish ban kar jeeta hai. Aur uski bay-niyaazi par duniya bhi rashk karti hai.
Mumtaz science-daan Louis Agassiz ne Natural History ki study aam karnay kay liye bharpoor jatan kiye. Yeh Europi science-daan tahsil-e-ilm se fraaghat kay baad 1840 mei’n America gya to wohi’n muqeem ho gya. 1848 mei’n Harvard mei’n Professor taayunat hua to aglay pachees bars woh udhar hi parhaata rhaa. Jab usay kahi’n muqarrar bana kar mad‘u kiya jata tau apnay matlooba science ke maqsad se bhatak jaanay kay khauf se woh aisi da‘wtai’n aksar rad kar deta. Woh apna waqt apnay tadrees ke shobay ko day kar hi mutma‘in rehta tha. Is liye woh deegar masroofiyat ko waqt ka zyaa samajhta tha.
Aik baar jab usay science-daano’n ki aik jmaa‘at mei’n taqreer karnay ki darkhaast ki gayi to us nay hasb-e-‘aadat ma‘azrat kar li. Daa‘wat dainay walay shakhs ne mzeed israar kiya aur ghair rzaa-mand science-daan ko yeh laalach diya keh is maqsad kay liye usay bhaari mu‘aawza bhi diya jaaye ga.
Agassiz ne yeh daleel day kar phir se inkaar kar diya:
“Mairay paas itna waqt nahi keh isay sirf paisay kmaanay mei’n zaaya kar doo’n.”
🌹 Sharing is Caring 🌹