Taaliyo’n mai’n goonjti huyi na-kaami
“Bahaaduri khauf ki adamm-maujoodgi ka naam nahi, balkay yeh us faislay ka naam hai keh koi cheez khauf se bhi zyaada ahem hai.“
(Ambrose Redmoon)
Doctor John West kehta hai; “Jab aap intehaai bulandiyo’n par hotay hain, aap ka jism apni bqa ki jung khud larr raha hota hai. Wahaa’n har saans aik kashmakash hoti hai.” Edmund Hillary woh pehla insaan tha jis ne Mount Everest sar kiya tha. 29 May 1953 ko untees hazaar foot ooncha dunaya ka buland tareen aur khatar-naak pahaar us ke qadmo’n ki thokarr tlay tha. Us ki fatah insaani azm-o-himmat ki mairaj thi.
Us azeem koh-paima ka khyaal tha, hum pahaar ko fatah nahi kartay, balkay khud ko fatah kartay hain. Us ne apnay khauf ko dbaaya nahi balkay apnay maqsad ke taa’bay kar diya. Us ne aik aisay marhalay par himmat ka muzaahira kiya jahaa’n insaani aa’saab jwaab day jaatay hain. Apni kamyaab muhim-joi par usay ‘Sir’ ka khitaab bhi diya gya. Apni isi kamyaabi ki badaulat woh American Express card commercial mein bhi jalwa-gar hua. Taa’humm jab tak hum us ki likhi hui kitaab na parh lain, hum theek se andaaza nahi laga saktay keh us azeem kaar-naamay ko kamyaabi se sar-anjaam dainay ke liye Hillary ko apni himmat aur bardaasht ko kis qadar aazmana parra.
1952 mein, us ne Mount Everest par charhnay ki pehli koshish ki magar na-kaam ho gya. Chand hafto’n baad, England mein kisi idaaray ne apnay members se khitaab karnay ke liye usay madd’uu kiya. Taaliyo’n ki bharpoor goonj mein Hillary ka stage par istiqbaal kiya gya. Saama’een ko ehsaas tha ke yeh aik azeem tareen koshish thi magar Hillary khud ko aik na-kaam shakhs ki haisiyat se dekh raha tha.
Woh microphone se peechay htaa aur ba-wqaar andaaz se chaltay huay stage ke kinaaray tak aa gya. Us ne apnay haath se mukka bnaaya aur Mount Everest ki tasveer ki taraf ishaara kartay huay buland awaaz mein bola:
”Mount Everest! Meri is pehli koshish mein tum ne mujhay shikast se dau-chaar kiya hai lekin agli baar tumhaari shikast yaqeeni hai kyun ke tum ne jitna barhna tha, barh chukay……. magar main (apnay hauslay aur azm ki soorat) ab bhi buland hota chla ja raha hoon.”
… Aur phir apni saabit qadmi ke bal-bautay par us ne Mount Everest ko fatah kar ke insaan ki azmat ka na-qabil-e-shikast amli saboot pesh kar diya.
1975 mein us ki ahlia aur beti ki aik hwaai haadsay mein maut ne us ko zindagi ki sab se barri aazmaaish mein daal diya. Hillary kai baras tak is sadmay se baahar na aa ska. Yeh aisa khlaa tha, jisay bharna na-mumkin tha. Gham ke is Mount Everest par fatah paanay ke liye us ne apni zyaada-tar twaana’ii khidmat-e-khalq mein lgaa di. Us ka khyaal tha, sakht tareen sadmay mein bhi aap ko himmat kar ke daubaara uthna parta hai aur zindagi ko aagay ki taraf dakhailna hota hai.
Woh kehta hai; “Meri zindagi ki sab se mushkil charhaai Everest nahi thi, balkay apni biwi aur beti ko khonay ke baad zindagi ki az-sar-e-no tameer thi.”
🌹 Sharing is Caring 🌹