Swaal wohi hai’n tau Jwaab badal kar daikhai’n.



Oscar Wilde ne kaha tha,
“Har paarsa ka koi maazi bhi hota hai — aur har gunah-gaar ka koi mustaqbil.”
Yaad rakhiye, hmaaray aas paas insaan hi bastay hai’n jaisay hum hai’n. Woh hmaari tarah toot’tay, bantay, bikhar’tay hai’n. Un kay baaray mei’n foran koi ghalat raaye mat banaiye.

Rodney Dangerfield kehta hai,
“Mai-nay apnay Psychologist ko bataaya; har insaan mujh se nafrat karta hai. To us ne mujh se kahaa, may ahmaqaana baat kar rahaa hoo’n, kyun keh may abhi ‘har insaan’ se mila hi nahi.”
Is liye, pehlay har ek se mil lijiye, phir badgumaani rakhiye.

Zraa is jumlay mei’n bechaargi mulaahiza kijiye;
“Meri (kitaab-e-zeest ki poori) kahaani ko mahaz us baab par na parkho, jo tumhaari nazro’n se guzra hai.”

Logo’n ke maazi ko faqat apnay tajassus ki bai-jaa taskeen kay liye mat kureediye. Parda-poshi kijiye.
Agar aap tasleem kiye baithay hai’n keh zmaana kharaab hai, tau khud ko bhi shaamil kijiye, kyu’n keh aap isi zmaanay ka hissa hai’n.
‘Bilfarz, aap ne khud ko zmaanay se alag aur bartar samajh liya hai tau jo aap ki dastaras mei’n hai’n, un ki islaah ki koshish kijiye.
Koi ghalat rawish par chal raha hai aur aap kay bas mei’n hai to usay samjhaaiye keh woh kahaa’n ghalat hai, lekin agar aap ye bhi nahi kar saktay, tau khud ko moor’a’d-e-ilzaam thehraaiye, ya phir kisi ko bhi nahi.

Aik student ne Einstein se swaal kiya tha,
“Kya ye saaray swaal wohi nahi, jo guzashtha bars kay parchay mei’n bhi aap ne diye thay?”
Einstein ka jwaab tha,
“Haan, (wohi hain), magar is saal un ke jwaab mukhtalif hain.”

Aap bhi apnay swaalo’n aur jwaabo’n par nazar-e-saanee kijiye.
Kyu’n keh kabhi zindagi ka swaal badal jaata hai aur kabhi jwaab.
Aap ko shikva hai, is duniya mei’n koi kisi ka achha dost nahi, tau jwaab badal dijiye: aap kisi ke achhay dost ban jaaiye.
Agar koi diyaanat-daar nahi hai, tau khud ko diyanaat-daar bnaa lijiye —
phir yaqeen kar lijiye keh duniya se ek bad-diyaanat ki kami ho gayi hai.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top