Sab yaqeeno’n ka har gumaan ka Rab


Sab yaqeeno’n ka har gumaan ka Rab
Khaab khushboo ka aur chataan ka Rab

Lafz ko zindagi bhi us ne di
Hai jo makhlooq-e bay-zubaan ka Rab

Khaahishai’n hai’n zamee’n kay seenay mai’n
Dasht ka Rab hai gulistaan ka Rab

Haath ko ikhtiyaar deta hai
Shair bakri ka aur machaan ka Rab

Teer paighaam ban ke miltay hai’n
Hukm karta hai jab kamaan ka Rab

Ilm ka nasha ya wajood-e tarang
Thaam letaa hai bay-dhiyaan ka Rab

Woh jo aafaaq mai’n bashaarat thi
Mera Rab hai usi azaan ka Rab



( Shaayer: Muhammad Tayyab )

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top