Qabil-e-rehm se Qabil-e-rashk tak


’Tumhaara dard us khol ka tootna hai jo tumhaari aqal ko ghairay huay hai.‘
(Khalil Gibran)


​Mushkilaat ke doraan datt kar khara rehna aur khud ko har tarah ki jiddo-jehad ke liye aamaada rakhna, insaan ko na-qaabil-e-shikast bna deta hai. Konosuke Matsushita ka bachpan kasm-pursi mein guzra lekin us ne haalaat par ilzam dainay ki bjaaye apnay hoslay ko buland rakha, shikaayat ki bjaaye himmat ko jawaan rakha, aur qabil-e-rehm ban-nay ki bjaaye qabil-e-rashk ban-nay ka mushkil rasta chuna. Mukhtasir si ibtidaayi taleem ke baad, mahz nau bars ki umar mein roz-gaar ke silsilay mein, usay apna khandaan chhor kar doosray shehar jaana prra. Woh kehta hai: ’Haqeeqi danish sirf kitaabo’n se nahi balkay roz-marra ke tajurbaat, nakaamiyo’n aur masaail ko hal karnay ki koshisho se aati hai.‘

​Apni umar ki bees ki dehai mein, usay phephro’n ke mozi marz ka rog lag gya aur doctro’n ne usay chhay maah tak mukammal aaraam ka mashwra diya. Magar, tang-dasti usay yeh sahulat bhla kab denay waali thi. Woh is baat se bakhubi aashna tha, ke:
’Jab hum kisi surat-e-haal ko badalnay ke qaabil nahi rehtay tau phir hmain khud ko badalnay ka challenge darpaish hota hai. (Viktor Frankl)

​Sakht mushaqqat ke baad, jab us ne ‘Matsushita Electric’ ke naam se ek company kholi to kaarobar mein aisi mandi aayi ke woh taqreeban divaaliya ho gya. Doosri Jang-e-Azeem ke baad, Allied Forces ne bhi shadeed qisam ki paabandiya’n naafiz kar dee’n. Phir bhi Matsushita khud ko hamesha khush-qismat hi tasavvur karta raha. Us ne na sirf apni qismat ko khush-dili se qubool kiya balkay hamesha us ke roshan pehlu par hi nazar rakhi. Yehi woh jazba tha, jis ki badolat us ne chhoti si electric workshop ko duniya ki azeem tareen electrical appliances manufacturers mein badal dala jo aaj duniya bhar mein dau brray brands ‘National’ aur ‘Panasonic’ ke naamo’n se jaani pehchani jaati hai.


​’Ek pur-azm insan zang-aalood wrench se bhi woh kaam kar dikhaata hai, jo ek kaahil shakhs poori machine shop ke tmaam tar auzaaro’n ke bawajood nahi kar paaye ga.‘
(Robert Hughes)

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top