Naql aur naql-e-mkaani

Bacha aai’ndaa nasl ka nigehbaan hota hai. Woh jis maahol mai’n parwaan charhtaa hai, us ki shakhsiat par usi ka rang ghaalib rehta hai. Yehi maahol us ki shakhsiat ki tameer ya takhreeb dono mai’n ehm kirdaar adaa krta hai. Bchay ka yeh bunyadi haqq hai keh us kau behtar mu’aashray mai’n zindagi guzaarnay ka moqa milay ta keh us ki shakhsiat ki tameer masbat akhlaaqi bunyaado’n par ho.

Walidain aur asaatiza ki hesiyat se hmai’n apnay bcho’n ki tarbiyat kay liye hamesha behtareen faislay krnay ki zrurat hai۔


China kay azeem falsfi Mencius ki umer jab teen bars thi, us kay waalid ka inteqal ho gya. Us ki maa kau us ki parwrish kay liye sakht jatan krna prray.

Jab woh bcha tha, us kay andar doosro’n ki naql krnay ki behtareen slaahiyat thi. Aik waqt tha, jab woh qabristaan kay qreeb rehtay thay, wahaan Mencius nay murdah afraad ki qbro’n par sajda raiz maatami afraad ki nqaali krna shuru kar di. Jab us ki maa kau is baat ki khabar huyi, us nay faisla kar liya, apnay bchay ki parwrish kay liye yeh jagah munaasib nehi. Sau, us nay wahaa’n se naql-e-mkaani kar di.

Un ka naya thikaana aik qassaab khaanay kay sath tha. Jald hee Mencius nay qassaabo’n ki nqaali shuru kar di. Maa samajh gyi, yeh maahol bhi baitay ki nshau’numa kay liye behtar nehi. Us nay dobaarah naql-e-mkaani ki.

Ab unho’n nay aik school kay bilkul nazdeek mkaan mai’n rehaayesh ikhtiyaar ki. Mencius nay wahaa’n talbaa ki nqaali shuru kar di. Us nay kitaabai’n parhnaa, ilm haasil krna aur achhay atwaar ka muzahira krna shuru kr diya.

Maa nay wahaa’n se naql-e-mkaan nehi ki۔

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top