May Masjood-e-Malaaik hoo’n, mujhay Insaan rehnay day
Husn-e-b’yaan bila-shuba insaan kay husn ko mazeed nikhaar deta hai, lekin doosray pehlu ko bhi malhooz-e-khaatir rakhai’n keh baaz auqat khushaamadi afraad husn-e-b’yaan ka dil-faraib libaada oorrh kar hmaaray ird-gird badi mahaarat se apnay faraib ka jaal buntay chalay jaatay hai’n. Aisay afraad se duur rahai’n aur khud bhi makar-o-faraib ka ye libaas pehn’nay se guraiz karai’n.
Sikandar-e-Azam ko kuch bhirrho’n ne kaat liya. Jab woh unhai’n uraanay ki koshish kar raha tha tau ek darbaari khushaamadi adab se bola,
“Aali Jaah! May in bhirrho’n ko doosri bhirrho’n se bartar khyaal karta hoo’n kyu’n kay inho’n ne aap jaisi mahaan hasti kay khoon ka zaaiqa chakkha hai.”
M’qaam-e-afsos hai, hmai’n bhi aisay khushaamdiyo’n se waasta parta rehta hai jo zaati m’faad kay liye hmai’n insaan se devta bnaa daitay hai’n.
Insaan aham-tareen hai; us ka dunyaavī martba nahi.
Insaan ko agar aap “masjood-e-malaaik” samajhtay hai’n tau us kay “dunyaavi martabay” ko khiraaj-e-tahseen paish karnay se pehlay ye bhi daikh lijiye keh “sharf-e-insaniyat” se gir kar tau nahi woh martaba haasil kiya gya.
Insaan ko pehlay saraahiye, baad mei’n us kay dunyaavī martabay ko.
Kyoto ka Governor. Zen Master Keichu se mulaqaat ki gharz se ibaadat-gaah mei’n aaya.
Us ka visiting-card lay kar jab us ibaadat-gaah ka khaadim, Master kay paas pahunchaa to Master ne card daikh kar kaha,
“Mujhe is shakhs se koi sarokaar nahi, usay kaho, waapas chala jaaye.”
Khaadim ne Governor ko card waapas kiya tau Governor ko kuch yaad aaya. Us ne card liya aur us par darj ye alfaaz mita diye: “Kyoto ka Governor,” aur khaadim se kaha,
“Azraah-e-karam, card waapas lay kar jao aur Master ko dobaara dikhaao.”
Jab Keichu ne card dekha to muskuraatay huway kaha,
“Aray waah! Kitagaki milnay aaya hai! Bulaao, may us se milna chaahta hoo’n.”
Apna zarf buland kijiye. “Martabay” se nahi, insaan se miliye.
Aap kay ird-gird kayi aisi hastiyaa’n hai’n jin kay paas dunyaavī jaah-o-jlaal tau nahi, lekin insaan kay ashraf-ul-makhluqaat honay kay mansab ka bharam unhi se qaaim hai.
🌹 Sharing is Caring 🌹