May day raha hoo’n tujhay khud se ikhitlaaf ka haqq



Aik raat jab aik mashhoor ada-kaar stage par jalwa-gar honay ke liye bilkul tayyaar tha, us ke naye mu‘aawin ne usay btaaya ke us ke jooto’n ke tasmay dheelay hain.
Ada-kaar ne us ka shukriya ada kiya aur tasmay baandhnay ke liye neechay jhuk gya.

Jab woh mu‘aawin chla gya, tau ada-kaar phir se jhuka aur tasmay dobaara dheelay kar diye.

Stage helper yeh sab dekh raha tha. Us ne hairat se poocha,
“ Aap ne jooto’n ke tasmay baandh kar phir dobaara dheelay kyun kiye?”

“ Tumhain pata hai, aaj mujhay aik bai-dhanga, thkaa-maanda shraabi ka kirdaar ada karna hai. Agar tasmay dheelay hon ge tau meri adakaari mein haqeeqat ki jhalak zyaada nazar aaye gi.”
Adakar ne jawab diya.

“ Phir, aap ne yeh baat apne mu‘aawin ko kyun nahi btaayi?”

“ Us ke mashwaray mein itni gehri dilchaspi aur khuloos ki aamezish thi ke usay thaiss pohan’chaanay ka mera dil hi nahi chaaha. Mujhay yaqeen hai, baad mein haqeeqat khud us par aashkaar ho jaaye gi.



Doosron ki raaye ka ehteraam insaan ke akhlaaqi qad mein izaafa karta hai. Kisi doosray ki raaye se ikhtilaaf ke bawajood us ka ehteraam insaan ki woh fikri bartari hai jo usay mqاam-e-nargisiyat se buland kar ke sharaf-e-insaniyat ki aala tareen masnad par braajmaan karti hai.

Khud durust sاmt mein ho kar bhi doosray ke ikhtilaaf ko kushaada dili se qubool karna, dar-haqeeqat kamzori nahi; yeh buland akhlaaq aur azmat-e-kirdaar ki daleel hai.

Kisi ki zaat ko hadaf banaanay waali mukhaalifat ki bjaaye us ki baat se ikhtilaaf ka haq bahmi muhabbat aur kaamil ehteraam ka saboot hai.

Apnay mauqif par yaqeen rakhtay huay bhi doosron ko ikhtilaaf ki azaadi dena haqeeqi zarf ki alaamat hai۔

May day raha hoo’n tujhay khud se ikhitlaaf ka haqq
Ye Ikhtilaaf ka haqq hai. mukhaalifat ka nahi

(Shaayer: Sana ullah Zaheer)

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top