Magar hum doosro’n ko raund kar oonchay nehi hotay
Insaan aarzu aur aas kay sahaaray hee jeevan basr krtaa hay. Sirf murdah shakhs hee khaahish se azaad hota hai. Khaahish jeetay jaagtay insaan ka sath chhorr day tau woh bhi chalta phirta murdah hee reh jata hai.
Saansain leta huwa murdah.
Apnay Wujood ka khokhla-punn idhar udhar dhkailta murdah.
Aur apnay andar ki mayoosi se har taraf mayoosi baant-ta murdah.
Khaahish zinda-dili ki alaamat hai. Bhetar se behtareen ki khaahish har insaan ka haqq hai lekin shrf-e-insaaniat ka paas-daar zi-nafs yeh nukta kabhi nehi bhoolta;
Asl Sikandar woh hai jo apni har us khaahish par fatah haasil krta hai jo kisi aur kau kuchal kar poori ki jaaye.
Insaan ka zarf kuch aisa hi hona chahiye;
Hmain bhi sir-bulandi ki tamanna tang krti hai
Magar hum doosron kau raund kar oonchay nehi hotay
(Syed Qasim Shah)
Sikandar-e-Azam kay baaray main tehreer kardah Steven Pressfield kay classiki novel (The Virtues of War) kay aik manzar main, darya abuur krtay huway Sikandar-e-Azam ka saamna aik aisay falsfi se hota hai jis ki nigaah main Sikandar-e-Azam ka yeh jaah-o-Jalaal aik tinkay kay braabar nehi.
Falsfi ki yeh bay-nyaazi dekh kar aik sipahi nihaayat ghusay se us par cheekhta hai,
“Jaantay ho, is azeem insaan nay poori dunia kau fatah kiya hai.
Tum nay kaun sa kaar-nama kiya hai ? “
Falsfi mutmain nigaahon se usay daikhtay huway qanaa-at bhray lehjay main jwaab deta hai,
“Main nay duniya kau fatah krnay ki khaahish kau fatah kiya hai.”
🌹 Sharing is Caring 🌹