Maachis ki Dibiya
Karachi ke andar aur baahar rehnay waalay bacho’n se
Aksar poocha jaata hai
Qaid-e-Azam kahaa’n paida huwya thay?
Karachi mei’n, bachay kehtay hai’n
Aur unka mzaar kahaa’n waqay hai?
Karachi mei’n, bachay phir kehtay hai’n
Itni baar poochhay jaanay waalay swaal ka jwaab
Aik bacha nahi deta
Aur kehta hai, Qaid-e-Azam ka mzaar
Maachis ki dibiya mei’n waqay hai
Apni baat ko sach btaanay kay liye woh bastay se
Maachis ki khaali dibiya’n nikaalta hai
Aur apni teacher ko dikhaata hai
Mereweather Tower, Friar Hall,
Bandar Road, Empress Market,
Aur, sab se aakhir mei’n
Qaid-e-Azam ka mzaar…
Teacher dekhti hai’n
Sab ke sab
Maachis ki dibiya mei’n waqay hai’n
( Shaayer: Zeeshan Sahil )
🌹 Sharing is Caring 🌹