Khuda nay hukm diya


Khuda nay hukm diya, “Aao, duniya ko behtar bnaayai’n.”
Aur may nay arz ki, “Kis tarah?”
Yeh duniya to aik yakh sard andhair nagri hai
Aur ab tau bay-shumaar guthiyo’n mai’n uljhi hui bhi
Aur may … shadeed buzdil aur laachaar
Mujh se to kuch nahi ho paaye ga.”

Lekin, Khuda nay hikmat bhra jwaab diya:
“Tum… bas khud ko behtar bnaa lau.”



( Shaayer: Na-maloom )

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top