Khud ko apni qaid se rehaa krai’n
Baah’mi m’aamlaat mai’n ghalti kotaahi insaani khaslat hai magar darguzar krna aik aisi khoobi hai jo talluq kau dwaam deti hay. Agar darguzar kar kay bhool jaana aik funn hai tau is mai’n ht-ul-imkaan mahaarat haasil krni chahiye warna daayemi qaid hmaara muqaddar bun jaati hai.
Yehi wajah hai, L. B. Smedes kehta hai;
“Darguzar krna, kisi qaidi ko qaid se rehaa krna hai”
Tab yeh inkishaaf hota hai keh woh qaidi aap khud thay.
Malachy McCourt kay khyaal mai’n;
“(Kisi se musalsal) ksheedah Khaatir rehna aisay hee hai jaisay aap zehar tau khud piyai’n aur intezaar krai’n, kisi aur ki maut ka.”
Duniya mai’n har koi aik khaamosh jang larr rhaa hai, jis se hum bay-khabr hotay hai’n. Is liye bahtar hai keh hum khud bhi tahammul ka muzahira krai’n aur aainda nasl kay liye amli taur par is ki misaal bnai’n.
Aik baar train mai’n safar kay dauraan aik shakhs ki kisi mamooli si kotaahi par Railway kay drjah chahaaram ka aik mulaazim us ki sarzanish krtay huway gaali gloch tak utar aaya hala’n keh us shakhs nay maazrat bhi kar li thi. Jab m’aamla khatm huwa tau us shakhs ka nojwaan beta baap se gilah krnay lagaa keh baap nay us badtameez kau kaisay bardaasht kiya,
Baap muskraaya aur bola,
“Agar aisa shakhs khud kau poori umer bardaasht kar skta hai tau phir may usay paanch minute tak kyun nehi jhail skta.”
🌹 Sharing is Caring 🌹