khoobsurti baaqi reh jaati hai


German shaayer aur nasr nigaar Rainer Maria Rilke ke bqol; “Funn-paaray la-mahdood tanhaai se janam laitay hain… aur funn-kaar ko un kay liye khud ko poori tarah waqf karna parrta hai.”

France ka azeem musawwir aur mujassama saaz Henri Matisse umr mein apnay hum-asr musawwir Auguste Renoir se 28 bars chhota tha. Yeh dono azeem funn-kaar aik doosray kay behtareen aur be-takalluf dost thay. Umr ki aakhri dahaai mein jab beemari ki wajah se Renoir ki zindagi ghar tak mehdood ho kar reh gayi tau us ka dost Matisse roz us se milnay aata. Intehaai alaalat ke bawajood, jorro’n kay waram kay baa’is harkat se ma’zoor honay ke bawajood, Renoir painting bnaanay mein laga rehta.
Aik roz jab Matisse ne dard-naak aziyat mein mubtala is azeem funn-kaar ko apnay studio mein kaam kartay dekha tau woh bai-sakhta bola:
Auguste, itni aziyat mein bhi kyun paintings bnaanay ki mushakkat mein lagay rehtay hain aap?”
Renoir ne saadgi se jwaab diya:
“Kyun ke, khoobsurti baaqi reh jaati hai… aur dard ruksat ho jata hai.”

Iss tarah woh azeem funn-kaar maut ki khaamosh tasveer ban’nay tak apni la-faani tasveero’n mein khoobsurti chhor kar ruksat hua.


Waqt ke saath dard apni shiddat kho deta hai۔ Hmaara zehan aur jism zakhm ko bharnay ke liye khud-kaar mechanism istemaal kartay hain. Hum dard se guzar kar hi andarooni taaqat aur nyi baseerat haasil karte hain.
Aik Mafakkar ke khyaal mein: “Danaai shifa paaye huay dard kay siwa kuch bhi nahi.”
Shifa ke baad jo kuch baaqi rehta hai woh jism ki andarooni khoobsurti hoti hai۔ Zakhm ka nishaan is baat ki gwaahi hai ke zakhm-khorda shakhs ne bqa ki har mumkin koshish ki. Dard aik aarzi ustaad hai aur khoobsurti aik daayemi meeraas. Insaan dard ki sarhado’n ko phalaang kar khud se aik baar phir milta hai۔ Aur Dickens ke nazdeek: “Juda honay ka dard dobaara milnay ki khushi kay saamnay kuch bhi nahi hota।”

Picasso ne barmala kaha tha:
“Funn rooh se roz-marrah ki zindagi ki gard dho daalta hai۔”
Dard ko shikast day kar funn ki gaud mein panaah lainay waala insaan fnaa ho kar bhi bqaa ki khoobsurti ko paa leta hai۔ Yahi woh khoobsurti hai jo baaqi reh jaati hai, aur apnay saath apnay funn-kaar ko bhi amr kar deti hai۔

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top