
Mohabbat ka nasb-ul-ain sirf Mohabbat hai.
Qandeel mah o mehr ka aflaak pay hona
Kuch is say zyaada hai mera khaak pay hona
(Sarwat Hussain)

Ilm agarchay kitaabo’n se milta hai lekin hqiqi danaayi woh kitaab parhnay se haasil hoti hai jo App Khud hai’n aur ye m’taa’la aasaan nehi kyun keh har lamha is kitaab ka nya edition saamnay aa jaata hai.

Woh Hum hi hai’n, jin ka h’mai’n intezaar hai.
(Alice Walker)


Agr aap kisi aam aadmi ko khush karna chaahtay hai’n ya usay yeh taasur daina chaahtay hai’n keh woh khush hai tau usay paisa, taaqat, khush’aamad, t’haaif, aur ezazaat dain.
Agar aap kisi aql-mand aadmi ko khush karna chaahtay hai’n tau apni zaat ko behtar bnaaye’n.
(Idries Shah)

Agar koi Bacha Ryaazi mai’n kamzor hai magar Tennis mai’n acha hai tau zyada tar laug us k liye Ryaazi ka Tutor hire krai’n gay lekin may us k liye Tennis ka Coach hire karna behtar samjhu’n ga. (Deepak Choopra)