Taqdeer ko kon badal sakta hai?
Aik Japani General ne bohat ahem laraai mei’n dushman par hamla karnay ka hatmi faisla kar liya, hala’n ke uski fauj taadad mei’n kahi’n kam thi. Usay yaqeen tha ke unhai’n fatah ho gi, magar pooray lashkar mei’n bay-yaqeeni ki kefiyat thi.
Rastay mei’n woh ek ibaadat gaah mei’n ruk gaye. Ibaadat ke baad, General ne kuch faujiyo’n ke saamnay sikka nikala aur bola:
“May yeh sikka hwa mei’n uchhaloo’n ga. Agar yeh seedhay rukh par gira to jeet yaqeenan hmaari ho gi, aur agar ultay rukh par gira tau phir haar hmaara muqaddar ho gi.
Ab taqdeer hi hmaara faisla karay gi.”
Us ne sikka hwa mei’n uchhaala tau sab brray inhimaak se dekhnay lagay. Sikka seedhay rukh par aa gira. Sipaahi khushi se sarshaar ho gaye. Un mai’n aitmaad ki aisi lehar aayi keh dushman par toot parray aur aakhir-kar jeet unka muqaddar bnee.
Fatah kay baad, ek lieutenant ne Jarnail ko yaad dilaaya:
“Taqdeer ko koi nahi badal sakta.”
” Tum nay theek kaha,” General ne jwaab diya aur lieutenant ko woh sikka dikhaaya jiskay dono taraf seedhay rukh (heads) ki chapaai thi.
🌹 Sharing is Caring 🌹