Ik umr sar khpaa kay hi jo kuch mila, milaa
Warna insaan mar gya hota
Koi bay-naam justuju hai abhi
(Shaayera: Ada Jafri)
Zola ki tag-o-dau ka taveel safar
”Aksar may itni dair tak bhooka rehta tha kay lagta tha mein ab marnay hi waala hoon. Maheenon gosht ka zaiqa tak na chakkh paata. Dau din tay may nay sirf aik saib par guzaara kiya. Sakht sard raaton mein aag ki sahoolat bhi bas aik khaab hi thi; aur tab to mein Paris ka khush-qismat tareen insaan hota tha jab mujhay aik mom-batti muyassar aa jaati, jis ki roshni mein raat ko muatala kar sakta.”
Darj-e-baala alfaaz France kay azeem adeeb, sahaafi aur siyaasi kaar-kun Zola kay hain, jis nay;
Bees jildo’n par mushtamil naavlo’n ka aik silsila ‘Le Rougon-Macquart’ likha.
Mutaddid shohra-aafaaq adabi novels aur bay-shumaar tanqeedi mzaameen qalam-band kiye.
Jisay apni tehreeron ki wajah say dau baar Nobel Inam kay liye naam-zad kiya gya.
Jisay adab mein fitri haqeeqat nigari ka aham tareen naam samjha jata hai.
Jis nay siyasi sargarmiyon mein hissa liya aur apnay ikhtilaafi nazriyaat ki wjah say jila-watn bhi hona pra.
Nahi kay zindagi hamain kahaan kahaan liye phiri
Hai yuu’n kay hum gaye usay kahaen kahean liye huay
(Shaayer: Shahab Sarmadi)
Jab us kay walid ka intiqal hua, tau Zola mehz saat baras ka tha. Us ki taleem adhoori rahi. Shadeed maali mushkilaat ka saamna raha. Aksar faaqa-kashi bardasht karni pari.
Robert Colier kehta hai;
“Kamyabi in chhoti chhoti kaaishon ka majmua hai, jo din raat musalsal ki jaayain.”
Yahi woh istqaamat hai, jo insaan ko zamanay mein buland maqaam ataa karti hai. Yahi woh taaqat hai jis kay aagay tmaam rukaawtain haar maan leti hain. Chhotay chhotay qadam jo musalsal aagay barhnay ki umeed par uthtay chlay jayain, woh thori dair ki shiddat say taiz tareen daurr say behtar hain. Aisi bay-lagaam daurr ki bjaaye, agar durust samt ka tayyun kar liya jaaye aur phir istqaamat say isi raah par dheeray dheeray chla jaaye tau manzil tak rsaayi khaab nahi rehta
Zola jaanta tha, artist apni salaahiyat kay baghair kuch nahi magar salaahiyat bhi mushaqqat kay baghair kisi kaam ki nahi. Us ki yeh baat zindagi mein istqaamat ki ahmiyat ka munh bolta saboot hai;
“Agar mein apnay maiyaari kaam say asar nahi daal sakta to mein apnay kaam ki kasrat say khud ko manwa kar hi rahoon ga.”
Yani aap apnay behtareen tak nahi pahunch pa rhay tau rukna hal nahi. Musalsal mehnat ki badaulat insaan kmaal tak pahunchnay ka raasta daryaaft kar leta hai.
Ik jast main tau koi na pahuncha kmaal tak
Ik umr sar khpaa kay hi jo kuch mila, milaa
(Shaayer: Saeed-uz-Zafar Chughtai)
Kamyaabi waqt maangti hai.
Koi beej zameen par girtay hi darakht nahi bunn jaata. Usay parwaan charhnay kay liye, mitti ki aaghosh mein, kayi hya-ti-yaati tabdeeliyon kay aik pecheeda amal say guzarna parta hai. Koila heeray ka roop dhaarnay kay liye kurrah-e-arz kay nihaa’n-khaanay mein shadeed tapish aur ghair-mamooli dabaao kay maraahil say sadiyo’n guzarta hai. Seep kay seenay mein aik mamooli say rait kay zarray ka moti ban-nay ka amal taveel tareen sabr-azma riyaazat ka nateeja hai. Shehad ka mehz aik qatra shehad ki makhio’n ki meelo’n lambi musaafat aur un-ginat phoolo’n kay ras ka nichorr hai. Resham ka nazuk dhaaga resham kay keerray ki poori zindagi ki yaksooi aur un-thak bunat ka haasil hai.
Carson ki sabr-aazma musaafat
America ki ba-kmaal khatoon Carson untees baras ki umr mein faalij kay teen hamlo’n kay baad juzwi taur par maflooj aur musalsal jismaani aziyat ka shikaar rahi aur taqdeer ki mazeed sitam-zareefi yeh kay us kay shohar nay khud-kushi kar li.
Woh musalsal isi aazmaish say dau-chaar rahi;
Kis tarah jmaa kijiye ab apnay aap ko
Kaaghaz bikhar rhay hain, puraani kitaab kay
Magar woh aisi bahadur khatoon thi kay pay dar pay masaail kay ba-wajood apnay hauslay ko qaaim rakh kay zindagi say larti rahi aur 1967 mein pachaas baras ki umr mein jab duniya say rukhsat hui to woh;
‘The Ballad of the Sad Café’,
‘The Member of the Wedding’
aur
‘The Heart is a Lonely Hunter’
jaisay behtareen novels takhleeq kar chuki thi.
Is duniya main waahid khushi, aagay barhnay ki koshish aur musalsal jiddo-jehd main posheeda hai. (Zola)
🌹 Sharing is Caring 🌹