Hmaari trah Zindagi kijiye
Zindagi main chhoti brri qyaamtain brpaa hoti rehti hain. Qyaamat aati apni mrzi se hai lekin us ka jaana hmaaray bus (ya bay-bsee) se jurra hota hai. Yaani , aisa mumkin nehi keh zindagi ho aur drd nah milay magar us drd kau apnay haan kab tak thehrana hai, yeh hmaari mrzi par munhasir hai.
usi drd ki shiddat main kmi ya ziyaadti bhi hmaaray lagaao aur radd-e-amal se mashroot hoti hai. Aagay brhnay kay liye sir se guzrnay waali qyaamat kau shaoor se guzaarna lazmi hota hai warna woh haadsa hmaaray dil o dimagh main aasaib ki tarah qaabiz ho jata hai.
Drd kau behlaayen nehi, us par fatah haasil krain. Tbhi us se Nijat milay gi.
Mash-hoor foot-baller ka qol hay;
“Maidaan main fatah haasil krnay se pehlay aap apnay dimagh main jeet haasil kartay hain.‘‘
Yaad rkhain;
Haadsa kitna bhi brraa ho, shikast kaisi bhi bhyaanak ho, agar aap ki saans chal rehi hai, tau kahaani abhi khatam nehi huyi.
Zroori nehi, khud-kushi kijiye
Hmaari trah Zindgi kijiye
(Akbar Masoom)
Jeet abhi tak aap ki dastaras main hai. Aasmaan abhi tak jhuk kar aap ki nayi hikmt-e-amli daikhnay kay liye bay-taab hai.
Naam-var science-Daan Edison ki laboratory, December 1914 main mukammal taur par nzr-e-aaٓtish ho gyi. Nuqsan bees lakh Dollars se zyada tha magar building ki insurance sirf dau lakh arrtees hzar Dollar thi. Concrete se bni us building kay baaray main yehi khyaal tha, yeh fire-proof hai. December ki us raat , Edison ki zindagi ka baishtar kaam biphhray sholo’n nay raakh bnaa dala.
Bulandi ki taraf uthtay sholon main, Edison ka 24 saala beta dhuwain aur malbay kay ird gird deewana-vaar usay dhoondta rha. Bil-aakhir jab us nay apnay baap kau dekha tau hairaan ho gya . woh us wahshat-naak manzar par brray sukoon se nazrain jmaaye khrra tha. Us ka chehra aag kay aks se roshan tha aur safaid baal hwaa main lehra rehay thay.
Charles kehnay lga, ”Apnay baap kau dekh kar meray dil main drd uthaa kyun keh umer bhar jidd-o-jahd krnay wala mera azeem baap ab jwaan nehi balkay 67 saal ka boorha tha.
Jab us nay mujhay dekha tau chillaaya;
”Charles , tumhari maa kidhar hai? ”
Main nay jwaab diya, Mujhay maloom nehi tau us nay kahaa,
”jaao dhoondo usay, aur idhar laao. Apni Zindagi main aisa dilkash manzar ab bhla aur kahaan milay ga usay?”
Agli subah, Edison tbaah shuda imaarat dekh kar bola,
” Tbaahi bhi aik bohat brri khud hai. Hmaari saari ghaltiyan jal kar khaak ho jaati hain. Khuda ka shukr hai, ab hum aik naya aٓghaaz kar sktay hain.”
Aag lagnay kay waqaye kay teen hftay baad woh apna pehla Phonograph (woh machine jis par record bjaaye jaatay hain) bnaanay main kamyaab ho gya.
Tamanna aabru ki ho agar glzaar-e-hasti main
Tau kaanto’n main ulajh kar zindagi karnay ki khuu kr lay
(Iqbal)
(Duniya kay is baagh main agar izzat haasil karnay ki khaahish hai tau kaanton main ulajhnay ki aadat daal lau)
🌹 Sharing is Caring 🌹