Hmaari aankh kyu’n bhar aati hai?


Aik maghribi mufakkir kay khyaal mei’n kisi brri kamyaabi ko dekh kar, ya kisi movie ke shadeed jazbaati mnaazir mei’n kisi kamzor ko taaqat’war par fatah paatay dekh kar hmaari aankh is liye bhar aati hai keh tab hum apnay andar kay faateh kay liye rotay hai’n.
In jazbaat angaiz lamhaat mei’n hmaari aankh aansuon se tar ho jaati hai, kyun keh hum is haqeeqat se aagah hotay hai’n keh hmaaray andar bhi aisa hi bahadur insaan maujood hai jaisa hum us waqt daikh rahay hotay hai’n.
Woh azeem karnaama dar-asl hmai’n hmaari apni azmat se aash-kaar kar raha hota hai.
Hamari aankhai’n isi liye bheeg rahi hoti hai’n keh hmaari azmat khul kar saamnay nahi aa saki.
Chahiye tau yeh tha keh hum bhi kamyaabi kay us maqam par hotay magar hum nahi hain, yahi soch hmai’n udaas kar deti hai.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top