Duniya ka behtreen class-room

Andy Rooney kay bqol; “Duniya ka behtreen class room, kisi buzurg kay qadmo’n tlay hota hai۔‘‘
Buzurg ghar ki raunaq hotay hain. Un ki mojoodgi mai’n hee un ki qadr krai’n. Unhai’n waqt dai’n.
Aksar ghron main buzurgo’n kau bhi ghar kay store-room mai’n rkhi huyi koi bay-kaar cheez samajh liya jata hai. Ghar main maujood hotay huway bhi un kay wujood kau nazar andaaz kiya jata hai. Jin hastiyo’n nay apna aik aik pul hmaari zindagi bnaanay main waqf kiya hota hai, un ka aik aik pul tanhaayi ki nazr ho rha hota hai.

Jhuriyaa’n sirf un kay chehray par nehi balkay un kay boorhay waqt par bhi prri hoti hain, jo guzar hee nehi pata. suba’h se shaam krna, un kay liye qyaamat se kumm nehi hota kyun keh un kay ’boorhay waqt‘ kau aagay barhnay kay liye kisi sahaaray ki zrurat hoti hay. Un kay liye mahaz dwaa aur duaa kaafi nehi. Unhai’n aap bhi drkaar hotay hain.
Aap ka naim-ul-badal koi nehi.

Amrika mai’n, aik baap se us ki beti nay bcho’n ki kahaanio’n ki kitaab day kar frmaaish ki keh woh us ki pasandidah kahaani parh kar sunaaye. Baap nay beti ki frmaaish poori kar di. Ab har raat, beti ki yehi khaahish hoti keh baap usay kahaani parh kar sunaaye. Masroof baap nay us ka hull yeh nikaala keh us nay kahaani ki audio recording kar li. Agli raat jab beti nay kahaani ki frmaaish ki tau us nay beti kau wohi audio-recording lagaa di. dau teen raatai’n yehi hota raha laikin agli raat beti wohi story bppl lay kar phir baap kay paas aa gayi. Baap nay beti kau bosa day kar kahaa,
’’Meri pyari guriya! ab taa aap kau khud bhi audio recoder chlaana aa gya hai.
‘‘Masoom pari nay ihtijaaj kia,
“Jee, aa tau gya hai, laikin mai’n recoder ki gaud mai’n baith tau nehi sakti na.‘‘

Bchay kay liye gaud ka naim-ul-badal koi nehi.
Maa baap bchay kay waqt kau apni gaud main lay kar chltay chltay khud waqt ki bay-saakhiyo’n kay rehm o Karam par aa jaatay hai’n. tabb unhai’n sirf baisaakhi nehi, balkay aap ki zrurat hoti hai. bai’saakhi un kay neem jaan wujood kau sahaara day kar harkat main laa skti hai magar un kay ’’jhuriyaalay waqt‘‘ kau aap ki zrurat hoti hai. Hum apna sab kuch day kar bhi un ki qurbaaniyo’n ki qeemat adaa nehi kar sktay.
Magar hum unhai’n waqt day sktay hain aur un kay qadmo’n mai’n baitth kar khud kau apni nazro’n mai’n buland kar sktay hain. kyun keh buzurgo’n kay qadmo’n ki class main bila-naagha haazri denay wala hee qalbi aur ruhaani sukoon sy faiz-yaab hota hai.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top