Dhyaan Mai’n Gum


Ae Shahenshah-e-Uswah-e-Hasanah ﷺ
Aap ka banda Satyapal Anand
Ghair Muslim zaroor hai lekin
Yeh ijaazat tau dai’n mujhay Sarkaar ﷺ
Dhyaan mai’n gum zamee’n ko bosa doo’n
Aur baaqi ki umr, Ae Aaqa ﷺ
Yu’n hi thehra rahoo’n jhukaaye huway
Dar-e-Shah-e-Umam ﷺ pay sar apna
Dhyaan mai’n gum rahoo’n tau may shaaid
Daikh paau’n Huzoor ka jalwa
Chehra-e-Paak ki ziya paashi
Kaali kamli se noor chhanta hua
Dhyaan mai’n gum rahoo’n tau sun paau’n
Aap se may payaam-e-Haq kay raaz
Jaawidaa’n zindagi ki taabeerai’n
Lafz-e-Wahdat kay maa‘ni o tafseer
Thorri si umr reh gayi hai Huzoor ﷺ
Arz-e-Tayyiba pay may tan-e-tanhaa
Muntazir aap ki shafaa‘at ka
Kalma-khaa’n apna sar jhukaaye huway
Aur dast-e-talab barrhaaye huway
Dhyaan mai’n gum kharra hua hoo’n Huzoor ﷺ
Hindooam, kaafiram, gunahgaaram!!



( Shaayer: Satyapal Anand )

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top