Dastak say pehlay tayyari mukammal ka lai’n.
’’Khush qismati woh mqaam hai, jahaa’n tayyari aur moqa aapas mein miltay hain.‘‘ (Seneca)
Zindagi mahz ittefaqaat ka khel nahi balkay imkanaat aur tayyari ke milaap ka naam hai. Qudrat hamein apni qismat badalnay ke mwaaqay bar-ha fraaham karti hai lekin un se faida uthaanay ki salaahiyat hamein khud se paida karni prrti hai.
Agar hamari tayyari theek nahi tau behtareen mwaaqay bhi be-maini ban jaatay hain. Is liye kal ke liye behtareen tayyari yeh hai ke aaj apna behtareen kaam kiya jaaye kyun ke kamyaabi koi ittefaaq nahi hoti balkay yeh ek musalsal mehnat aur munazzam amal ka nateeja hai.
Paul Harvey kehta hai,
’’Aap ba-khubi andaaza lga saktay hain ke aap kab kamyaabi ke safar par gaamzan hain; dar-asl, yeh amoodi jaanib musalsal buland hota ek katthan rasta hota hai.‘‘
Kansas ka ek naujwaan, jis ke dil mein drawing ko b’tor-e-pesha ikhtiyaar karnay ki shadeed umang thi, is baat se aashna tha; kamyabi ek dushwar guzaar amoodi raah ke us paar hai.
Woh apnay bnaaye huay cartoons le kar kai akhbari dafaatir gya. Har m’deer ne sard-mehri se ek hi baat ki; us ke andar matlooba qaabiliyat hai hi nahi aur har ek ne yahi nasihat ki; woh koi aur pesha ikhtiyaar kray. Magar woh apnay khaab ko sach karnay ke liye saabit qadam aur pur-azm raha. Us ne lagan se apna kaam jari rakkha.
Kai maah tak, woh sirf inkaar sunta raha. Bil-aakhir, us ki qismat mein ek meharbaan gharri aayi, jab ek paadri ne church mein munaqqid ki jaanay waali mazhabi taqreebaat ki tash-heer-o-isha’at ki gharz se tsaaveer banwaanay ke liye us ki khidmaat lein.
Qismat ki is ajeeb-o-ghareeb inaayat se woh naujwaan dil-bardashta na hua balkay use Benjamin Disraeli ke yeh danish-mandaana alfaaz yaad thay,
’’Zindagi mein kamyaabi ka waahid raaz yeh hai ke jab khush qismati aap ka dar khat-khtaaye tau aap ki tayyaari mukammal ho.‘‘
Church mein chhotay se taa’oon-zda kamray mein us ne apni takhleeqi mushaqqat jaari rakkhi. Hairat ki baat thi ke us ta-affun-zda maahol mein, us ke zehen mein ek zabardast takhleeqi idea ne janam liya jisay us ne ‘Mickey Mouse’ ka naam diya. Yeh wohi azeem artist Walt Disney tha, jis ne Disneyland ki bunyaad rakkhi.
”Agay mujhay darakht kaatnay k liye chhay ghantay mayassar ho’n tau may chaar ghantay apni kulhaari taiz krnay mai’n lagaau’n ga.”
(Abraham Lincoln)
🌹 Sharing is Caring 🌹