Aik aur round kay liye muqaabla jaari rakho.


Azeem boxer James J. Corbett ne kamyaabi ki kunji ki dilkash tasveer kashi yuu’n ki:

“Jab tumhaaray paao’n is qadar thak chukay ho’n keh tumhai’n akkhaaray ke darmiyaan zor lgaa kar ghisit’tay qadmo’n kay saath uthna prray, tau aik aur round kay liye larro.
Jab tumhaaray haath itnay thak jaaye’n keh tum apnay bchaao kay liye haath bhi mushkil se uthaa paao, tau basaik aur round ke liye larro.
Jab tumhaari naak se musalsal khoon beh rahaa ho aur aankho’n kay saamnay tareeki basaira kar lay, aur tum had-darja choor ho chukay ho aur tumhaaray andar yeh khaahish jaag uthay keh tumhaara md’de-muqaabil tumhaaray jabrro’n par aakhri waar kar kay tumhai’n ab meetthi neend sulaa day ga, tau sirf aik aur round kay liye muqaabla jaari rakho.

Aur apnay dimaagh mai’n yeh aik baat bithaa lo:
Jo shakhs ek round mazeed muqabla kar sakta hai, usay kabhi maat nahi di ja sakti.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top