Aap kya kartay hai’n?
Aap kya karte hai’n?
May darakht lagaata hoo’n
Har raat aik naya darakht
Subah honay tak
Aasmaan se ja lagta hai
Mera darakht
Ab tak to jangal ban gaya ho ga?
Haa’n! Kai jangal hai’n
Sab kay sab aasmaan se milay huway
Magar kisi mai’n dhoop nahi hoti
Aur jaanwar? Aur parinday?
Woh kya kartay hai’n?
Sab hai’n, baithay rehtay hai’n
Ail hi darakht kay neechay
Jo may ne sab se pehlay lagaaya tha
Aur aap kahaa’n rehtay hai’n?
May usi darakht kay andar
( Shaayer: Zeeshan Sahil )
🌹 Sharing is Caring 🌹