Aap kis se mukhaatib hai’n?



Guru: (Chailay se) “Jaan lau, tab tum aik shaagird se guru ban-nay ka marhlaa tay kar laitay ho, jab tumhai’n idraak haasil ho jaaye keh tumhaara koi wujood hee nahi hai.”

Chaila: (Guru se) “Aap kis se mukhaatib hain?”


Baseerat hmaari jholi mai’n aa girti hai, jis lamhay hum apnay wujood kee jaib se “May” ko baahar nikaal phainktay hai’n.

🌹 Sharing is Caring 🌹

Scroll to Top